Shuroo’ Namaz Ke Elawa Kisi aur Maqam per Rafaulyadain Na Karne Ke Dalail

Bismillahir Rahmanir Raheem

Mohtaram Biraadraan-e-Islam! Namaz Allah Ta’la ki Mehboob Tareen Ibadat hai aur Iske baare me KHATIM AL-ANBIYA (sallallahu alaihi wa sallam) ki Taakeed hai ke “Namaz Us tarah Parho Jis tarah Mujhe Parhte dekhte ho.” [Sahih Bukhari]

Aap (sallallahu alaihi wa sallam) ke Is Irshaad-e-Giraami per Sab se Zyadah Amal karne waale Sahaba-e-Kiraam (raziallahu anhum) hain. Hadees ki Kitabo’n me SAHEEH SANADO’N (Chain) se Ba’z Sahaba-e-Kiraam (raz.) se Sirf Namaz ki Shuroo’ me Takbeer-e-Tehreemah ke waqt Rafaul-Yadain (Dono Hatho’n ko Uthaana) Saabit hai aur Ba’z Sahaba-e-Kiraam (raz.) se Rukoo’ me Jaate waqt aur Uthte waqt aur Ba’z Sahaba (raz.) se Sajdo’n ke darmyan bhi Rafaul-Yadain karna sabit hai.

A’imma-e-Mujtahideen (rahmatullahi alaihim) ne In tamam rivaayaat me Tehqeeq ki aur Tehqeeq wa Tafteesh ke ba’d Jis Imam Mujtahid ko Jo Rivayat Zyadah SAHEEH nazar aayi Unhone Usko Ikhtiyar kiya hai.

Fuqaha’ wa Muhaddiseen Ahnaf (rah.) ke Nazdeek Sirf Takbeer-e-Tehreemah ke waqt Rafaul-Yadain karna chahiye Iske ba’d Nahi. Is tarah har Faqeeh wa Muhaddis ne Apni Tehqeeq ke mutabiq Ek Ek SUNNAT per amal kiya Lekin doosro’n ko Kabhi Ghalat nahi kaha. Kyonke Ye Iqtilaf Islam aur Kufr ka nahi hai aur Na hi Sunnat wa Bid’at ka hai balke Ye Iqtilaf Fro’i Masaa’il ka Iqtilaf hai Jo ke Mehmood hai. Agar Mujtahid Ghalti karta hai to Usko Apne Ijtihad ka Ek Ajar milta hai aur Agar Sahih baat ko Pa leta hai to Usko Do (2) Ajar milte hain Ek to Ijtihad ka aur doosra Sahih baat ko Paane ka. [Ba-Mutabiq Hadees Sahih Bukhari wa Sahih Muslim]

Aur Ghalti per bhi Ajar milna is baat ki Daleel hai ke Ye Iqtilaf Haqq wa Baatil ka Mi’yaar Nahi hai. Agar Haqq wa Baatil ka Mi’yaar hota to Ajar ka wa’da bhi na kiya Jata. Isiliye 4 Mazaheb [Hanafi, Shafai, Hanbali wa Maliki] ke darmyan bhi Yehi Fro’i Iqtilaf hai Magar Rasool (sallallahu alaihi wa sallam) ke Farmaan ki wajah se Ye Ek doosre ko Ghalat Nahi tehraate Kyonke Jab Allah Ta’la Ajar de raha hai to Hum Kaun hote hain ke Ajar milne walo’n ko GHALAT KAAR tehraayein.?

Lekin Maujoodah Daur ke Hindustani wa Pakistani Ghair-Muqallideen Ahl-e-Hadees Ahbaab (Jo sirf Qur’an wa Sahih Hadees per amal karne ka da’wa karte hain aur Kisi Teesri Cheez ka Inkar karte rehte hain) Namaz ke Andar Rukoo’ me Jaate waqt aur Uthte waqt aur Teesri Raka’t ke shuroo’ me Rafaul-Yadain karne ko Zaroori qaraar dete hue Ummat-e-Muhammadiyah me Khatarnaak Inteshaar Paida kar diya hai. Is Masla’h ko Jisme Sahaba (raz.) ke daur se Ahl-e-Ilm me Iqtilaf Chala aa raha hai Haqq wa Baatil ka Mi’yaar bana chuke hain. Rafaul-Yadain karne walo’n ko Ahl-e-Hadees aur Na karne walo’n ko Be-Namazi aur JAHANNAMI tak qaraar dene se peeche nahi hain.

Ghair-Muqallid Maulvi Abdul Shakoor Abdul Qadir likhta hai: “Haqq Mazhab Ahl-e-Hadees hai, aur Baaqi JHOOTE aur JAHANNAMI hain, To Ahl-e-Hadeeso’n per WAJIB hai ke In Tamaam Gumrah Firqo’n se Bachei’n.” [Siyaahatul Janaan Bi-Manaakihat Ahlul Eimaan Page 4]

Mazeid likhta hai: “Maulvi Muhammad Joonagarhi ne Apni Tasneefaat me Hanafiyo’n ko GUMRAAH aur Firqah NAJIYAH se KHAARIJ qaraar diya hai.” [Page 11]

Ghair-Muqallideen ne Is Fro’i Iqtilaf ki bunyad per Hanafiyo’n ke JAHANNAMI hone tak ka Faislah Saadir farma diya hai. Allah ki Panah ho.

Aur Is silsilah me Kabhi Kazab Bayani se bhi Kaam lete hain aur Kabhi Ye Bachkaana Shoshah Chhorte hain ke, Kya Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) Chaar-Chaar Tareeqah se Namaz parhte the.? Jab ke Khud Ghair-Muqallideen ki Namaz Ek Masjid me bhi Ek Jaisi Nahi hoti. Arz hai ke Ye Fro’i Iqtilaf Ahadees me Zaahiri Tazaad ki wajah se Aur  Ahadees ke Faham (Samajh) ki wajah se A’immah ke darmyan hua hai. A’immah ne Jaan Boojh kar Ye Iqtilaf paida nahi kiya hai.

AHNAAF KE DALAA’IL:

Daleel# 1: Hazrat Alqamah (rah.) kehte hain ke, Abdullah bin Mas’ood (raziallahu anhu) ne farmaya: “Kya Main Tumhein Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) waali Namaz Na Parhaon.? Phir Namaz Parhi aur Rafaul-Yadain Na kiya Magar Ek Martabah Shuroo’ Namaz me (Ya’ni TAKBEER-E-TEHREEMAH ke waqt).”

Imam Tirmizi (rah.) farmate hain: “…Hadees Ibn-e-Mas’ood (raziallahu anhu) HASAN (Good) hai. [Tirmizi H#252; Abu Dawood H#748; Nasa’i H#1060]

Khud Ghair-Muqallideen ke Peishwa Naseeruddin Albani Sahab likhte hain: ”Haqq baat Ye hai ke Ye Hadis SAHEEH hai aur Iski SANAD MUSLIM ki Shart per SAHEEH hai aur Jin Logo’n ne Is Hadees ko MA’LOOL (Za’eef) qaraar diya hai Humein Unki Koi Aisi Daleel Nahi mili Jis se Istedlaal SAHEEH ho aur Iski wajah se HADEES ko Radd (Reject) kiya Ja sake.” [Mishkaat Ba-Tehqeeq Albani V1/P254]

Daleel# 2: Hazrat Abdullah bin Umar (raz.) se rivayat hai ke, “Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) sirf Namaz ke shuroo’ me Rafaul-Yadain farmate the, Iske ba’d dobarah Hath Nahi Uthaate the.” [Al-Khilaaqyaat Lil Bayhaqi V1/P404, H#1720]

Muhaddis-e-Haram Sheikh Aabid Sindhi (rah.) farmate hain ke, “Mere Nazdeek Ye Hadees Yaqeeni taur per SAHEEH hai.” [Ba-Hawalah Mu’arif As-Sunan 2/494]

Daleel# 3: Hazrat Abdullah bin Umar (raz.) se rivayat hai ke, “Maine Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ko dekha Jab Namaz shuroo karte to Rafaul-Yadain karte. Rukoo’ ki taraf Jaate hue, Rukoo’ se Sar Uthaate hue aur Sajdo’n ke darmyan Raful-Yadain Nahi karte the.” [Musnad Al-Humaydi V2/P277, H#614, Published BEIRUT, SANAD SAHEEH]

Daleel# 4: Hazrat Ali (raz.) se rivayat hai ke, “Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) Ibtidaay-e-Namaz me Hath Uthaate the Phir ba’d me Nahi Uthaate the.” [Al-Illal Al-Waaridah Fi Ahadees An-Nabawiyah 4/106, SANAD SAHEEH]

Daleel# 5: Hazrat Ibaad bin Zubair (raz.) farmate hain ke, “Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) Jab Namaz Shuroo fatmaate Usi waqt Rafaulayadain karte Phir Namaz Khatm hone tak Rafaul-Yadain nahi karte the.” [Al-Khilaaqyat Lil Bayhaqi V1/P404, H#721, SANAD MURSAL JAYYID]

Daleel# 6: Hazrat Baraa’ bin Aazib (raz.) kehte hain ke, “Maine Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ko dekha ke Jab wo Qiblah Rukh hote (Yani Namaz shuroo karte) to Rafaul-Yadain karte the Yaha’n tak ke Aap (sallallahu alaihi wa sallam) ke Angoothe Kaano ke qareeb hote, Phir Aap dono Hatho’n ko Nahi uthate.” [Musnad Abu Ya’la V3/P249, H# 1692, Ye Hadees Apni Shuwahidaat ke sath SAHEEH hai]

Daleel# 7: Hazrat Abdullah bin Mas’ood (raz.) farmate hain ke, “Maine Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) aur Hazrat Abu Bakar wa Umar (raz.) ke peeche Namaz parhi, In Hazraat ne sirf Takbeer-e-Tehreemah ke waqt Rafaul-Yadain kiya.” [Sunan Kubra Bayhaqi V2/P79]

Hafiz Ibn-e-Turkmani (rah.) ne farmaya ke, Is rivayat ki Sanad Jayyid hai Ya’ni HASAN hai. [Ba-Hawala I’la As-Sunan 3/68]

Daleel# 8: Hazrat Ibraheem Naqa’I Taaba’ee (rah.) farmate hain, “Abdullah bin Masood (raz.) Jab Namaz shuroo karte to RafaulYadain karte the Phir dobarah RafaulYadain Nahi karte the.” [Musannaf Ibne Abi Shaibah V1/P236, SAHEEH Mursal Mauqoof]

Daleel# 9: Hazrat Aswad Taaba’ee (rah.) rivayat karte hain, “Maine Hazrat Umar (raz.) ke peeche Namaz parhi, Aap (raz.) ne Namaz me Kisi Jagah Rafaul-Yadain nahi kiya  magar Namaz ke shuroo’ me.” [Musannaf Ibne Abi Shaibah Raqam# 2469, SANAD SAHEEH]

Daleel# 10: Aasim bin Kulaib (rah.) Apne Waalid (Kulaib bin Shihab) se rivayat karte hain ke, “Be-Shakk! Hazrat Ali (raz.) Namaz shuroo’ karte to RafaulYadain karte the, Iske ba’d Nahi karte the.” [Musannaf Ibne Abi Shaibah Raqam# 2457, SANAD SAHEEH]

Daleel# 11: Mujahid (rah.) farmate hain ke, “Maine Hazrat Abdullah bin Umar (raz.) ke Peeche Namaz parhi, Aap ne Is me Kahi’n bhi Rafaul-Yadain Nahi Kiya Sivaaye TAKBEER AULAA (TEHREEMAH) ke, Namaz me.” [Sharah Muanil Aasaar – Kitab: As-Salaah – Baab: At-Takbeer]

Daleel# 12: Hazrat Abdullah bin Mas’ood (raz.) aur Hazrat Ali (raz.) ke As’haab (Ya’ni Shagird) Shuroo’ Namaz me Rafaul-Yadain karte the phir dobarah Hath Nahi Uthaate the. [Musannaf Ibne Abi Shaibah, Ye bhi bilkul SAHEEH hai]

Daleel# 13: Muhammad bin Nasar Al-Marwazi (rah.) farmaate hain: “Hum Kisi Aise Shehar ko Nahi Jaante Jiske Baashinday (Citizens) puraane Zamaane se Ahl-e-Ilm me shumaar kiye jaate ho aur Unhone Bil-Ittifaaq Namaz me jhukte aur Uthte waqt Rafaul-Yadain ko Chhor diya ho sivaaye Shehar Koofah ke.” [At-Tamheed Li Ibne Abdul Barr V9/P213]

NOTE: Koofah, Iraq wo Azeem Shehar hai Jaha’n per 1500 Sahaba-e-Kiraam (raz.) aa kar Aabaad hue the. Jinme 24 BADRI aur 3 ASHRAH MUBASHHARAH Jaise Azeem Sahaba (raz.) shaamil the. Hazrat Ali (raz.) ne Koofah ko Darul Hukoomat (Capital City) banaya tha. Koofah Ilm–e-Hadees aur Fiqh ka Be-Misaal MARKAZ tha. Yehi wajah hai ke [Sahih Bukhari] ke Raaviyo’n (Narrators) me Aksar Muhaddiseen KOOFAH ke hain.

Daleel# 14: Ibn-e-Rushd (rah.) farmate hain, “Imam Malik (rah.) ne Madeenah walo’n ke Amal ke muwafaq hone ki wajah se Rafaul-Yadain Na karne ki Hadees ko TARJEEH di hai.” [Bidayatul Mujtahid V1/P193]

Daleel# 15: Ibnul Qasim (rah.) ka bayan hai ke, “Imam Malik (rah.) farmate hain ke sirf Takbeer-e-Tehreemah ke waqt Hath Uthaaye jaayei’n Iske ba’d Na Uthaaye Jaayei’n. Imam Malik (rah.) Namaz me Takbeer-e-Tehreemah ke alawah Rafaul-Yadain ko ZA’EEF qaraar dete the. Yehi MASLAK Ahl-e-Koofah ka aur Sufyan Sauri (rah.) ka hai.” [Al-Istizkaar V4/P98]

Imam Tirmizi (rah.) ka Na’ra-e-Haqq:

Hadees Ibn-e-Mas’ood (raz.) ke tehat farmate hain: “Sahaba (raz.) wa Taba’een (rah.) me se Be-Shumaar Ahl-e-Ilm Yehi kehte hain (Ya’ni sirf Takbeer-e-Tehreemah ke waqt Rafaul-Yadain kiya Jaaye) aur Yehi Qoul Sufyan Sauri (rah.) aur Ahl-e-Koofah ka hai.” [Jami’ Tirmizi]

Allamah Ibn-e-Taymiyah (rah.) ka Fatwa:

“Namaz parhne wala Rafaul-Yadain kare ya Na kare Is se Namaz me Koi KHARABI Nahi aayegi aur Na Namaz BAATIL hogi.” [Majmua’ Fatawa V22/P253]

Lekin Aaj ke Ghair-Muqallideen, Ahl-e-Hadeeso’n ke Nazdeek Rafaul-Yadain hi Haqq wa Baatil ki Pehchan ban gaya hai aur Isko Namaz ki Sihat wa Qubooliyat ki SHART ban chuka hai.

Hum Poochte hain ke Humne SAHEEH ISNAAD waali Itni Ahadees peish ki hain, In Ahadees ko Thukra kar Chand Matlab ki Ahadees per amal karne walo’n ko hi Ahl-e-Hadees kehte hain.? Aisa hai to Phir Har Musalman Ahl-e-Hadees hoga. Is Label wala Makhsoosi Firqah Kyon bana rakha hai.?

Aaj ke Nazuk daur me Musalmano ko Aapasi Ittihad wa Ittifaq ki Sakht Zaroorat hai. Aise Pur Khatar Daur me In Froi Masaa’il Jinme Sahaba (raz.) ke daur se Iqtilaf chala aa raha hai ko Uchhaal kar Musalmano ko Aapas me Ladaana aur Taqleed-e-A’immah, 20 Raka’t Taraweeh, Juma’h ki 2 Azaanei’n, 3 Talaq Jaise Ijma’i Masaa’il ki Mukhalifat karna, Muqallideen ko Bid’ati wa Mushrik kehna, Croro’ wa Arbo’n Rupya Bas In Ikhtilafi Masaa’il ko Hawa dene ke liye Kharch karna. Zara Apne Qalb per hath rakh kar sonchiye ke Musalmano ka Kitna bada Nuqsan ho raha hai.? Aur Kya Aisa Karne waale Nadaani me Yahood wa Nasaara aur Dushman-e-Islam ki Sazisho’n ka shikar nahi ban rahe hain.? Kya Ghair-Muqallideen ki Nigaaho’n me Fiqh Hanafi hi Sab se Badi Gumrahi hai.? Aap ko Qadyaniyo’n se, Shio’n se, Munkareen-e-Hadees se Itna Baer nahi Jitna Hanafiyo’n se hai. Aisa Kyon? 95% Kitabein Aap ki to Ahnaf ke khilaf hi hoti hain. Agar Ahadees ki Kitabein likhte hain to bhi Ahnaf ke Maslak ko hi Nishanah banaate hain. Akhir Kya baat hai ke Aap Qadyani, Shio’n, Munkareen-e-Hadees ko Nishanah Kyon nahi banaate.?

Ghair-Muqallideen Zor-o-Shor se Baland Baang da’wa to karte hain ke sirf SAHEEH HADEESO’N per Amal karte hain. Za’eef Hadeeso’n ko Nahi maante, Lekin Inki Koi bhi Kitab ZA’EEF Ahadees se Khaali nahi. Aur Hamara da’wa hai ke Ghair-Muqallideen Jis tareeqah per Namaz parhte hain Wo Apne Is Tareeqah per Mukammal Namaz ko SAHEEH AHADEES se hargiz Sabit nahi kar sakte.

Note:

1) Tark-e-Rafaul-Yadain ki Hadees’on per Baaz Johala Ghair-Muqallideen ne be-zaa Aitrazaat bhi kia hai. Un aitrazaat ke Zawabaat is blog per mojood hai, niez Haq ko wajeh karne ke liye  waqt ke sath naye article Insha’Allah ate rahenge.

2) Sheikh Asif Ahmad (Damat Barakatuhum) “Sunnat -e- Rasool -us- Saqlain [صلى الله عليه و سلم] fi Tark -e- Rafa -ul- Yadain”  kitab mai 300 se zayed riwayat Sirf Namaz ki Shuroo’ me Takbeer-e-Tehreemah ke waqt Rafaul-Yadain karne ki naqal ki hai.

Read Online

Download

Ek Mughalte Ka Jawaaab: Ghair-Muqallideen 400 riwayat Rafa -ul- Yadain karne ki baat karte hai. Ye mahez dhoka hai. Un 400 main 300 humari riwayat aur dono sajdo’n ke darmiyaan, Salam ke waqt Rafa -ul- Yadain riwayat samil rehti hai. Humara dawa hai Ta-Qayamat ye log apne usool ke tahet sirf 400 Sahih Hadees nahi dikha sakte.

Min-Jaanib: Sameer Mughal

Izafa: Abdullah Islam

This entry was posted in Namaz, Rafaulyadain and tagged , , , , , , , . Bookmark the permalink.

1 Response to Shuroo’ Namaz Ke Elawa Kisi aur Maqam per Rafaulyadain Na Karne Ke Dalail

  1. mohtashims says:

    Iss article main Imam Shafa’ee nay Tark-e-Rafaydain ka Amal ki tha jab woh Imam Abu Hanifa ki Kabr ki ziyarat key liye gaye thay kyon nahi shamil kartey ?

Comments are closed.